aakhirash dard ya dawa tha main zindagi tu bata ki kya tha main main kabhi ek jagah ruka hi nahin aisa lagta hai ki hawa tha main han mujhe khud ko zer karna pada apne raste mein aa raha tha main ai 'qamar' ab mujhe bhi yaad nahin aakhiri bar kab hansa tha main