sitam kab un pe dhaya hai kisi ne bas aaina dikhaya hai kisi ne falak se khun ki barish kyun na hoti zamin ka dil dikhaya hai kisi ne meri aankhen chhalakne lag gain hain talluq kya nibhaya hai kisi ne siyasat khel hai jadugari ka tamashai banaya hai kisi ne bahut nazuk badan hai shairi ka ki jaise gul uthaya hai kisi ne badi rahat mili 'jawed' dil ko gale se jab lagaya hai kisi ne