aalam ke doston mein murawwat nahin rahi

aalam ke doston mein murawwat nahin rahi
sharm-o-haya-o-mehr wa shafqat nahin rahi

zahir mein kya rafiq kahate hain aap kun
lekin unon ke dil mein mohabbat nahin rahi

milte hain rasti sin jo koi kaj-nazar mile
khwabon mein pak-baz ki hurmat nahin rahi

har khar bul-hawas ke kiye sohbat ikhtiyar
to husn gul-rukhon mein latafat nahin rahi

na-layqon mein umr kun karnan abas talaf
ham-sohbati ki un mein liyaqat nahin rahi

bhule hain har sanam ke karishme pe hosh kun
in zahidon mein kashf-o-karamat nahin rahi

sifle hue aziz aziz ab hue kharab
be-jauharon mein qadr-e-sharafat nahin rahi

mat ho bahaar-e-gulshan-e-duniya ka andalib
is phulban mein bu-e-rifaqat nahin rahi

ab zat-e-haq baghair na rakh dosti 'siraj'
aalam mein aashnai-o-ulfat nahin rahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close