andheri shab hai kahan ruTh kar wo jaega

andheri shab hai kahan ruth kar wo jaega
khula rahega agar dar to laut aaega

jo ho sake to use khat zarur likha kar
tujhe wo meri tarah warna bhul jaega

bahut dabiz hui ja rahi hai gard-e-malal
na jaane kab ye dhulegi wo kab rulaega

lage hue hain nigahon ke har jagah pahre
kahan mata-e-sukun ja ke tu chhupaega

use bhi chahiye ek jism aur mujhe pani
isi liye wo samundar mujhe bulaega

abhi ye sham ka manzar bahut hasin hai 'shamim'
dhalegi raat to aa kar yahi daraega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close