aam hai kucha-o-bazar mein sarkar ki baat

aam hai kucha-o-bazar mein sarkar ki baat
ab sar-e-rah bhi hoti hai sar-e-dar ki baat

hum jo karte hain kahin misr ke bazar ki baat
log pa lete hain yusuf ke kharidar ki baat

muddaton lab pe rahi nargis-e-bimar ki baat
kijiye ahl-e-chaman ab khalish-e-khar ki baat

ghunche dil-tang hawa band nasheman viran
bais-e-marg hai mere liye gham-khwar ki baat

bu-e-gul le ke saba kunj-e-qafas tak pahunchi
lakh pardon mein bhi phaili shab-e-gulzar ki baat

zindagi dard mein dubi hui lai hai 'rahi'
aise aalam mein kise yaad rahe pyar ki baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close