bujhti aankhon se meri KHwab kahan jata hai

bujhti aankhon se meri khwab kahan jata hai
ab mujhe le ke ye sailab kahan jata hai

ruh to kab se pareshan hai numu ki khatir
musht bhar khitta-e-shadab kahan jata hai

apni hasti mein to tufan khinche aate hain
hai jo panw mein wo girdab kahan jata hai

us ki taqdir mein likkha hai nami mein rahna
chhod kar aab ko surkhab kahan jata hai

apni tahzib ka hum pas bahut rakhte hain
ghusse mein lahja-e-adab kahan jata hai

jagna meri nigahon ka muqaddar hai 'nisar'
aankh se jalwa-e-mahtab kahan jata he


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close