aandhiyan chalti rahen aflak tharraate rahe

aandhiyan chalti rahen aflak tharraate rahe
apna parcham hum bhi tufanon mein lahraate rahe

kat kar raaton ke parbat asr-e-nau ke tesha-zan
ju-e-shir-o-chashma-e-nur-e-sahar late rahe

karwan-e-himmat-e-jamhur badhta hi gaya
shahr-yar-o-hukmaran aate rahe jate rahe

rahbaron ki bhul thi ya rahbari ka muddaa
qafilon ko manzilon ke pas bhatkate rahe

jis qadar badhta gaya zalim hawaon ka kharosh
us ke kakul aur bhi aariz pe lahraate rahe

phansiyan ugti rahin zindan ubharte hi rahe
chand diwane junun ke zamzame gate rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close