jo nafraton ka jamal thahra mohabbaton ka zawal thahra na aankh roi na dil pasija tumhaara jaana kamal thahra tumhaari yaaden jahan bhi thahrin wahin pe dil mein malal thahra jawab kyunkar dalil kis ko hamare lab pe sawal thahra jo hum ne socha tha ishq hoga faqat hamara khayal thahra wo sun ke chup hain kahani apni ye hamra jah-o-jalal thahra wo hum se mil kar bhi mil na pae ajab hamara visal thahra wo khud ke jaisa hi dusra hai wo aap apni misal thahra na nind aawe na chain pawen adhura sapna wabaal thahra 'ali' ko yarab bulao wapas ki is ka jina muhaal thahra