aane wale sher pe rae bari bari baiThegi

aane wale sher pe rae bari bari baithegi
ab ki jo bhi nazm kahunga zehn pe sari baithegi

us ke liye poshak banaunga main apne hathon se
rang sapedi beach mein hoga surkh kanari baithegi

kam-go hain aur apni aadat apni fikr pe bhaari hai
warna jab bhi baat karenge dhak hamari baithegi

achchhe yaron ki sohbat mein rahna achchha lagta hai
log bure honge jab sare shar bazari baithegi

dhire chalna thame rahna fikr-e-subuk-raftari ko
raste mein ek mod aaega aur sawari baithegi

dil ki zamin par hum ne ek kona bhi khali chhoda hai
sham ko wapas aa kar jis mein yaad tumhaari baithegi

sher ki duniya se main bahar niklun bhi to kyun niklun
nashsha jab utrega mera meri khumari baithegi

raat ko jo bhi khwab mein dekha subh wahi tabir kiya
agle roz bhi jagna hoga nind bichaari baithegi

zist hamari thak jaegi hijr ke lambe raste par
aur zara sustane ko bhi ye dukhiyari baithegi

mere bachao ki to mere yar hi kuchh tadbir karen
aankh se zarb lagi hai dil par zarb to kari baithegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close