zulm se darguzar nahin aata

zulm se darguzar nahin aata
han mujhe ye hunar nahin aata

jab talak mere sar nahin aata
un ka ilzam bar nahin aata

tab falak par qamar nahin aata
yar jab baam par nahin aata

farq-e-zer-o-zabar nahin aata
mujh ko kuchh bhi nazar nahin aata

hijraton ki andheri rahon mein
chalta jata hun ghar nahin aata

chashm-e-nargis udas rahti hai
ab koi dida-war nahin aata

baat main saf saf karta hun
mujh ko ye gar magar nahin aata

zindagi itni der mohlat de
jab talak nama-bar nahin aata

jaane kab se hun muntazir us ka
par mera muntazar nahin aata

ishq deta hai khud khabar apni
le ke qasid khabar nahin aata

umr bhi laut kar nahin aati
waqt bhi laut kar nahin aata

phir na mil paunga zamane se
yaad khud ko agar nahin aata

raushni se bane jo hote hain
un ka saya nazar nahin aata

waqt wo mehman hai 'hassan'
jo kabhi laut kar nahin aata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close