aankh lag jati hai phir bhi jagta rahta hun main nind ke aalam mein kya kya sochta rahta hun main tairti rahti hain mere khun mein gham ki kirchiyan kanch ki surat badan mein tutta rahta hun main sanp ke manind kyun dasti hai bahar ki faza kyun hisar-e-jism mein mahbus sa rahta hun main phenkta rahta hai patthar kaun dil ki jhil mein daera-dar-daera kyun phailta rahta hun main tahniyan kat kat ke ug aati hain phir se dard ki ek sanobar karb ka ban kar hara rahta hun main is se badh kar aur kya hoti pareshani mujhe ye sitam kam hai ki khud se bhi juda rahta hun main