khud hi par zulm dhaya ja raha hai zamane se nibhaya ja raha hai hamari aankhon se binai le kar hamein manzar dikhaya ja raha hai maani khak hote ja rahe hain khayal itna pakaya ja raha hai sar-e-mimbar ikattha hain qalandar faqiri ko bhunaya ja raha hai wahan se bhi uthaya tha hamein ab yahan se bhi uthaya ja raha hai yahan pe sher kahna yun hai jaise diya din mein jalaya ja raha hai