aankh meri ro rahi hai aaj dulhan wo bani hai zindagi par main hansa tha maut mujh par hans rahi hai us ne kuchh aise pukara har taraf ab be-khudi hai jitte hi ja rahe ho ishq hai bazi nahin hai ek teri yaad hai ab ek meri shairi hai dard ai tahrir dekho ula sani nahin hai