abas hai raaz ko pane ki justuju kya hai ye chaak-e-dil hai use hajat-e-rafu kya hai ye aaine hain ki ham-chehra lashkaron ki safen ye aks aks koi surat-e-adu kya hai mushabahat ke ye dhoke mumasalat ke fareb mera tazad liye mujh sa hu-ba-hu kya hai main ek halqa-e-be-samt apne markaz par ye shash-jahat hain kaise ye chaar-su kya hai ye lahm o khun ke kinae ye zehn ke uslub mere wajud ka pairaya-e-numu kya hai ye aasman se rag-e-jaan tak ek sargoshi sukut-e-shab ka ye andaz-e-guftugu kya hai ye rahguzar-e-nafas tangnae-mayusi magar ye wusat-e-daman-e-arzu kya hai hisar-e-jism o tilism-e-qaba aziz magar nikal bhi aao meri jaan kabhu kabhu kya hai khayal kya hai jo alfaz tak na pahunche 'saz' jab aankh se hi na tapka to phir lahu kya hai