aankh sahmi hui Darti hui dekhi gai hai

aankh sahmi hui darti hui dekhi gai hai
amn ki fakhta marti hui dekhi gai hai

kya bacha kitna bacha tab kise hai dekhe
mauj-e-khun sar se guzarti hui dekhi gai hai

aise lagta hai yahan se nahin jaane wali
jo siyah-raat thaharti hui dekhi gai hai

dusri bar hua hai ki yahi dost hua
par parindon ke katarti hui dekhi gai hai

ek ujdi hui hasrat hai ki pagal ho kar
bain har shahr mein karti hui dekhi gai hai

maut chamki kisi shamshir-e-barhana ki tarah
raushni dil mein utarti hui dekhi gai hai

phir kinare pe wahi shor wahi log 'raza'
phir koi lash ubharti hui dekhi gai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close