izhaar-e-haal sun ke hamara kabhi kabhi

izhaar-e-haal sun ke hamara kabhi kabhi
wo bhi hue hain anjuman-ara kabhi kabhi

main aur arz-e-shauq meri kya majal hai
hota hai us taraf se ishaara kabhi kabhi

rah-e-talab mein aur koi rahnuma nahin
deti hain laghzishen hi sahaara kabhi kabhi

sunta hun mujh se chhut ke nahin wo bhi mutmain
nazron ko dhundhta hai nazara kabhi kabhi

aaya shab-e-firaq wo hangam-e-be-kasi
khud apna nam le ke pukara kabhi kabhi

sach hai ki rahaten hi nahin husn-e-zindagi
gham ne bhi zindagi ko sanwara kabhi kabhi

yun tai hue 'shajia' mohabbat ke raste
badh badh ke manzilon ne pukara kabhi kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close