aankh se dur na ho dil se utar jaega

aankh se dur na ho dil se utar jaega
waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaega

itna manus na ho khalwat-e-gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhega to dar jaega

dubte dubte kashti ko uchhaala de dun
main nahin koi to sahil pe utar jaega

zindagi teri ata hai to ye jaane wala
teri bakhshish teri dahliz pe dhar jaega

zabt lazim hai magar dukh hai qayamat ka 'faraaz'
zalim ab ke bhi na roega to mar jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close