aankh tishna bhi nahin hont sawali bhi nahin ye surahi ki bhari bhi nahin khali bhi nahin hum sakhi dirham-o-dinar liye phirte hain shahr-e-nadar mein ab koi sawali bhi nahin kyun girane ke liye darpai aazar hain log hum ne buniyaad makan ki abhi dali bhi nahin aisi makruh kahani ki ye taswir hai jo sunne wali bhi nahin dekhne wali bhi nahin 'mohsin'-ehsan ka hai andaz-e-junun sab se alag ye jalali bhi nahin hai ye jamali bhi nahin