insaf jo nadar ke ghar tak nahin pahuncha samjho ki abhi hath samar tak nahin pahuncha mizhgan pe ruke hain abhi dhalke nahin aansu ye soch ka sailab safar tak nahin pahuncha kuchh log abhi khair ki khwahish ke amin hain dastar ka jhagda abhi sar tak nahin pahuncha parwaz mein tha amn ka masum parinda sunte hain ki be-chaara shajar tak nahin pahuncha insan to dukh-dard ke sahraon mein gum hai ye qafila khushiyon ke dagar tak nahin pahuncha muddat se mohabbat ke safar mein hun 'karamat' lekin abhi chahat ke nagar tak nahin pahuncha