aankh us pur-jafa se laDti hai

aankh us pur-jafa se ladti hai
jaan kushti qaza se ladti hai

shola bhadke na kyun ki mahfil mein
shama tujh bin hawa se ladti hai

qismat us but se ja ladi apni
dekho ahmaq khuda se ladti hai

shor-e-qulqul ye kyun hai dukhtar-e-raz
kya kisi parsa se ladti hai

nahin mizhgan ki do safen goya
ek bala ek bala se ladti hai

nigah-e-naz us ki aashiq se
chhut kis kis ada se ladti hai

tere bimar ke sar-e-baalin
maut kya kya shifa se ladti hai

zal-e-duniya ne sulh ki kis din
ye ladaka sada se ladti hai

wah kya kya tabiat apni bhi
ishq mein ibtida se ladti hai

dekh us chashm-e-mast ki shokhi
jab kisi parsa se ladti hai

teri shamshir-e-khun ke chhinton se
chhinte aab-e-baqa se ladti hai

sach hai al-harb khudatun ai 'zauq'
nigah us ki dagha se ladti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close