aankhen khuli thin sab ki koi dekhta na tha apne siwa kisi ka koi aashna na tha yun kho gaya tha husn hujum-e-nigah mein ahl-e-nazar ko apni nazar ka pata na tha dhundla gae the naqsh-e-mohabbat kuchh is tarah pahchanti thi aankh to dil manta na tha tum pas the tumhein to hui hogi kuchh khabar itna to apna shisha-e-dil be-sada na tha kuchh log the jinhen ye saadat hui nasib warna yahan kise sar-e-mehr-o-wafa na tha har samt ho raha tha andheron ka azhdaham shab kat chuki thi aur sawera hua na tha kya kya fraghaten thin 'tabassum' hamein ki jab dil par kisi ki yaad ka saya pada na tha