aankhon ke darichon se sarab utre hain kitne ek jaan hai magar is pe azab utre hain kitne shayad tumhein khoi hui jannat kahin mil jae dekho meri in aankhon mein khwab utre hain kitne jab saat-e-ehsan thi to ek bund na barsi jab uth gae pyase to sahab utre hain kitne duniya tujhe main dekhun to kin aankhon se dekhun ek shakhs ke chehre se naqab utre hain kitne har rauzan-e-zindan se lahu jhank raha hai ghar ghar teri chahat ke gulab utre hain kitne naghmon ka fusun chand ki zau phul ki khushbu us husn-e-dil-ara pe shabab utre hain kitne ashkon ko safi' hans ke luta dil ko lahu kar tere liye ab kar-e-sawab utre hain kitne