shaKH se patte parinde aashiyan se ja chuke

shakh se patte parinde aashiyan se ja chuke
kaisi rut hai sab makin apne makan se ja chuke

main khalaon mein bhatakne ko akela rah gaya
mere sathi chand-tare aasman par ja chuke

khushk patte udte phirte hain yahan ab ja-ba-ja
rang-o-nikhat ke musafir gulsitan tak ja chuke

tere qabu mein the jab tere the ab tere nahin
ud ke ab alfaz ke panchhi zaban se ja chuke

kah rahe hain dard mein dube hue diwar-o-dar
dhundte phirte ho jin ko tum yahan se ja chuke

zindagi mein dekhne the ye bhi din 'khawar' hamein
jo kabhi bichhde na the wahm-o-guman se ja chuke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close