aankhon ko naqsh-e-pa tera dil ko ghubar kar diya

aankhon ko naqsh-e-pa tera dil ko ghubar kar diya
hum ne wida-e-yar ko apna hisar kar diya

is ki chhuwan se jal utha mere badan ka rom rom
mujh ko to dast-e-yar ne jaise chinar diya

kis ke badan ki narmiyan hathon ko gudguda gain
dasht-e-firaq-e-yar ko pahlu-e-yar kar diya

ab ke to mujh pe is tarah saqi hua hai mehrban
sare dukhon ko chum kar mai ka khumar kar diya

mana sukhan teri ata phir bhi kamal hai mera
main ne tere jamal ko rashk-e-bahaar kar diya

mujh se gila baja magar tum bhi kabhi ye sochna
mujh ko ana ke rakhsh par kis ne sawar kar diya

zulmat-e-hijr mein sada us ne diya hai hausla
ab ke magar bujha diya us ne bhi haar kar diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close