aankhon mein nae rang sajaane nahin utre ek umr hui khwab suhane nahin utre aakash pe udte rahe pani ke parinde kheton ki mere pyas bujhane nahin utre har mauj thi bechain bahakne ko kabhi se khud aap hi dariya mein nahane nahin utre be-nur hain chehre yahan mayus hai har dil ummid ki kirnon ke khazane nahin utre wada kiya kis tarah wafa aap ne is bar kya zehn ki wadi mein bahane nahin utre