phir kaenat-e-yaad pe lahra gai hain wo

phir kaenat-e-yaad pe lahra gai hain wo
sine mein ek aag si sulga gai hain wo

allah re chashm-e-shokh ka nazzara-e-hasin
dil mein nazar ke sath hi khud aa gai hain wo

ai aarzu-e-did nigahon ka kya qusur
uthte hi un ke baam pe sharma gai hain wo

aaega phir se aankh mein sawan shabab par
lahore se suna hai ki ukta gai hain wo

roti hai aarzu meri sine pe rakh ke hath
shayad nazar ke tir se barma gai hain wo

'altaf' aa rahi thin uthae hue naqab
pate hi mujh ko rah mein ghabra gai hain wo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close