aankhon mein nami aai chehre pe malal aaya

aankhon mein nami aai chehre pe malal aaya
ai jalwa-e-mahbubi jab tera khayal aaya

tha un ki tawajjoh mein har jazb-e-talab mera
har chand moaddab thi jab mera sawal aaya

is baat pe badli hai bas chashm-e-karam un ki
ushshaq ke honton pe kyun harf-e-sawal aaya

ya un ke hasin abru aae hain tasawwur mein
ya mahfil-e-hasti mein rakhshanda hilal aaya

hum sajda jahan kar len kaba wahin ban jae
mit kar teri ulfat mein hum ko ye kamal aaya

ab hashr-ba-daman hai har mahfil-e-tanhai
tum aae to furqat ki azmat pe zawal aaya

phir rang-e-junun barsa phulon ki qabaon par
ye kaun gulistan mein aashufta nihaal aaya

paigham-e-'fana' laya taskin-e-dil-e-muztar
wo aa gae nazron mein jab waqt-e-visal aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close