garche banta nahin Dhab sone ka jaanan se lipaT

garche banta nahin dhab sone ka jaanan se lipat
ek din jaunga par us ke main daman se lipat

ai falak tujh se tamanna hai ki is jade mein
soiye garm ho is mehr-e-darakhshan se lipat

baad muddat jo use sair-e-chaman mein dekha
main gaya daud ke is sarw-khiraman se lipat

baghban ne jo na di rifat-e-gul-gasht hamein
but se ho rah gae diwar-e-gulistan se lipat

'mahir' us shokh ne jab tir nigah ka phenka
us ke paikan rahe aah rag-e-jaan se lipat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close