aankhon mein saughat sameTe apne ghar aate hain

aankhon mein saughat samete apne ghar aate hain
bajre lage bandar-gah pe saudagar aate hain

zard zabur tilawat karti hai taswir khizan ki
ain-bahaar mein kaise kaise khwab nazar aate hain

gandum aur gulabon jaise khwab shikasta karte
dur-daraaz zaminon wale shahr mein dar aate hain

shahzadi tujhe kaun batae tere charag-kade tak
kitni mehraben padti hain kitne dar aate hain

band-e-qaba-e-surkh ki manzil un par sahl hui hai
jin hathon ko aag chura lene ke hunar aate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close