aankhon pe shab raqam bhi nahin kar sakunga main

aankhon pe shab raqam bhi nahin kar sakunga main
ai khwab tera gham bhi nahin kar sakunga main

ek mustaqil safar hai teri aarzu mujhe
aur khud ko taza-dam bhi nahin kar sakunga main

us ko khuda banane ki zid par ada hai tu
ai dil jise sanam bhi nahin kar sakunga main

sabza bhi chahti hain tasawwur ki khak par
wo aankhen jin ko nam bhi nahin kar sakunga main

ek jaan hai jo nazr guzari na jaegi
ek sar hai jis ko kham bhi nahin kar sakunga main

teri kami mein roz izafa karegi umr
aur is kami ko kam bhi nahin kar sakunga main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close