ab iKHtiyar mein maujen na ye rawani hai

ab ikhtiyar mein maujen na ye rawani hai
main bah raha hun ki mera wajud pani hai

main aur meri tarah tu bhi ek haqiqat hai
phir is ke baad jo bachta hai wo kahani hai

tere wajud mein kuchh hai jo is zamin ka nahin
tere khayal ki rangat bhi aasmani hai

zara bhi dakhl nahin is mein in hawaon ka
hamein to maslahatan apni khak udani hai

ye khwab-gah ye aankhen ye mera ishq-e-qadim
har ek chiz meri zat mein purani hai

wo ek din jo tujhe sochne mein guzra tha
tamam umr usi din ki tarjumani hai

nawah-e-jaan mein bhatakti hain khushbuen jis ki
wo ek phul ki lagta hai raat-rani hai

iradatan to kahin kuchh nahin hua lekin
main ji raha hun ye sanson ki khush-gumani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close