aankhon se khun apne ye kahta nahin na jae par sath us ke lipta hua dil kahin na jae itni to chahiye tujhe pas-e-shikasta-dil jo aawe tere yan so wo andohgin na jae sabr-o-qarar-o-hosh-o-khirad sab ke sab ye jaen par dagh-e-ishq sine se ai ham-nashin na jae dair-o-haram mein ja ke jo chahe phir aa sake par aawe jo gali mein teri wo kahin na jae hum girya-nak hain ye sada se hai aib-posh aankhon se dur apne kahin aastin na jae hai para-e-aqiq jigar dekhiyo kahin ai chashm tere hath se aisa nagin na jae nikle na jaan tan se 'hasan' ki to tab talak jab tak tu us ke sar pe dam-e-wapsin na jae