hum se ruthi har khushi hai aaj kal kashmakash mein zindagi hai aaj kal ab shumar-e-dushmanan mumkin nahin doston ki hi kami hai aaj kal jahl ka hai bol baala chaar su aagahi anqa hui hai aaj kal lafz ko barta saliqe se magar manawiyyat ki kami hai aaj kal naghmagi us mein na sheriyat kahin shairi be-kaif si hai aaj kal hai taqaza waqt ka kya kijiye dushmanon se dosti hai aaj kal amn gar qaem rahe to kis tarah sharpasandi badh gai hai aaj kal inqalab aaega kaise ai 'zaki' sarfaroshon ki kami hai aaj kal