aao to bahal jae mera dil-e-diwana

aao to bahal jae mera dil-e-diwana
gulshan hai bahaaran hai labrez hai paimana

jab ghaur se sunte hain wo ishq ka afsana
kis tarah machalta hai mera dil-e-diwana

aankh uthne lagi teri aur sharm zara kam ho
shishe mein dikha dunga phir tujh ko pari-khana

is shokh-nigahi ki tarif nahin mumkin
ladti hai nazar jis se ban jati hai begana

ye abr shafaq-agun ye sard hawa saqi
ek aur surahi la ek aur de paimana

aashiq ka abhi rutba samjha hi nahin tu ne
dekhne mein hai diwana matlab ka hai farzana

wo bazm mein aa baithe ab shama bujha dije
marne ko wo aata hai parwane pe parwana

'shankar' ki ghazal sun kar tarif karo dil se
sab sanche mein dhalte hain ye qaul-e-hakimana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close