aaqil hai ba-shuur hai kafi zahin bhi

aaqil hai ba-shuur hai kafi zahin bhi
is par hai mustazad wo az-had hasin bhi

bosa kisi bhi phul ka hum ne nahin liya
rukhsar muntazir rahe lab bhi jabin bhi

ghar le liya hai ain tere ghar ke samne
aur ek kharid laya hun main durbin bhi

sab kaam ho rahe hain ajib is qadar ajib
likhne se pahle sochte hain katbin bhi

ek shokh-o-shang tifl chhupa hai darun-e-dil
sanjida lag raha hun ba-zahir matin bhi

aankhon mein jis ki rahm ho hathon mein rotiyan
wo shakhs muflison ka dharam bhi hai din bhi

insaniyat ke jism pe chand aise dagh hain
jin par hai sharmsar falak aur zamin bhi

hanste hue marega koi dil gazida shakhs
aaega is darame ke andar wo sin bhi

ashaar gar safar na karen dil se dil talak
dete nahin hain dad 'qamar' samain bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close