aashiq hue hain jab se hum khud se ja rahe hain be-dard nasehon ne nahaq sata rahe hain fasl-e-bahaar mein hum kyun-kar na hon diwane gul chaak kar gareban dhumen macha rahe hain phir aawne ka wada tum kar gae ho hum se pyare tumhaari rah par aankhen laga rahe hain ai abr tu barasta aur hi taraf chala ja umde hain gham ke baadal so hum thama rahe hain dil khol tuk jo barsen arz o sama dubawen mizhgan-e-tar ke zalim wo abr chha rahe hain ye ishq nin hai bar-aks ja dekh le chaman mein aa khush-nayan adam se aankhen dikha rahe hain