aashna ho kar bhi usne mujhko pahchana na tha

aashna ho kar bhi us ne mujh ko pahchana na tha
us ke is bartaw ka kuchh mujh ko andaza na tha

aise ek tapte safar ki dastan thi zindagi
dhup thi sae mein lekin dhup mein saya na tha

kya kahun tujh se bichhad kar zindagi kaise kati
harkaten karti thi sansen aur main zinda na tha

gir gaya kyun yak-ba-yak tara zamin par tut kar
aasman dekha tha main ne aur kuchh manga na tha

ham-zaban sab the nadarat bhid ke us shahr mein
gird mere buildingen thi koi ham-saya na tha

phir bhi us rishte ko main ne tut kar chaha 'pawan'
wo ki jis rishte se mera koi bhi nata na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close