aasuda-e-mahfil abhi dam bhar na hua tha wo kaun sa tha war jo mujh par na hua tha chashm-e-sitam-ijad ki wusat ke muqabil ye tegh to kya charkh-e-sitamgar na hua tha palkon hi pe tadpa wo mere soz-e-darun se jo ashk abhi badh ke samundar na hua tha jab tak ki na dekhi thi nigahon ki karamat main munharif-e-baada-o-saghar na hua tha jab tak na tha shah-e-rag pe pada saya-e-abru main waqif-e-shirini-e-khanjar na hua tha kya jaanen nazar aaya hai kya rang-e-mohabbat itna kabhi muztar dil-e-muztar na hua tha ai 'taj' ajab josh utha bahr-e-karam mein ek harf-e-dua bhi to mukarrar na hua tha