aati thi pahle dil se kabhi bu kabab ki

aati thi pahle dil se kabhi bu kabab ki
raushan hai ab to sine mein bhatti sharab ki

itna itab surkh hai rangat naqab ki
tar-e-naqab hain ki nigahen itab ki

dekhe koi jhalak na rukh-e-la-jawab ki
sattar hazar pardon mein thahri hijab ki

kyun hashr mein ho fikr azab-o-sawab ki
sohbat hai ye bhi ek sharab-o-kabab ki

kahte hain wada raat ko hoga wafa zarur
allah jald sham ho roz-e-hisab ki

bijli wo chiz hi nahin jis se hasin daren
kuchh dard ki chamak hai jhalak iztirab ki

wo sham-o-subh sadqe ho jin par bahaar-e-gul
chun chun ke sath lae hain raaten shabab ki

jannat ke khwab dekh ke aati hain hum ko yaad
rindana sohbaten wo kabab-o-shabab ki

aaina dekhte hain mujhe dekh dekh kar
ye dad mil rahi hai mere intikhab ki

le apne sar wabaal na auron ka hashr mein
bar-e-gunah uthae na mizan hisab ki

ai taur soz-e-barq samajhte hain hum tujhe
tujh mein to shokhiyan hain kisi ke hijab ki

dawe hai hamsari ka sar-e-kaj-kulah se
ai dast-e-mauj utar le topi habab ki

bijli giraen tur par aawaz hi se wo
thahre kabhi to hum se sawal-o-jawab ki

phir bhi to kuchh sabaat ko us ke zarar nahin
ulti rawan hai bahr mein kashti habab ki

mai se kahin siwa hai pas-e-tauba mai-kasho
aa jae dur hi se kahin bu sharab ki

so hashr nazr-e-gosha-e-daman hain har-nafas
ai shauq-e-did had hi nahin iztirab ki

talkhi ka naza ki to kuchh ehsas ho sake
itni to mere munh mein ho talkhi sharab ki

tum kya ho hum ne qulqul-e-mina se waizo
baaten bahut suni hain azab-o-sawab ki

daur-e-mai-e-kuhan ka asar hai ye ai 'riyaz'
hai aaj bhi jawan tabiat janab ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close