chhat gaya abr shafaq khul gai tare nikle band kamron se tere dard ke mare nikle shakh par pankhudiyan hon ki palak par aansu tere daman ki jhalak dekh ke sare nikle tu agar pas nahin hai kahin maujud to hai tere hone se bade kaam hamare nikle tere honton meri aankhon se na badli duniya phir wahi phul khile phir wahi tare nikle rah gai laj meri arz-e-wafa ki 'mushtaq' khamushi se teri kya kya na ishaare nikle