aawargan-e-shauq sabhi ghar ke ho gae

aawargan-e-shauq sabhi ghar ke ho gae
ek hum hi hain ki kucha-e-dilbar ke ho gae

phir yun hua ki tujh se bichhadna pada hamein
phir yun laga ki shahr samundar ke ho gae

kuchh daere taghayyur-e-duniya ke sath sath
aaise khinche ki ek hi mehwar ke ho gae

us shahr ki hawa mein hai aisa bhi ek fusun
jis jis ko chhu gai sabhi patthar ke ho gae

suraj dhala hi tha ki wo sae badhe ki 'shauq'
kam qamatan-e-shahr barabar ke ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close