aaya nahin wo jaur ka KHugar tamam raat

aaya nahin wo jaur ka khugar tamam raat
tadpa kiya mera dil-e-muztar tamam raat

nind us ke husn-e-rukh ke tasawwur mein aai thi
dekha hai barq-e-tur ka manzar tamam raat

ye raaz mujh pe shama ke anjam se khula
katti hai hijr-e-yar mein kyunkar tamam raat

ai ham-nafas na puchh shab-e-hijr ka azab
aankhon mein katni padi akasr tamam raat

ek hum na un ki yaad mein jhapka sake palak
ek wo ki mahw-e-baada-o-saghar tamam raat

waqt-e-sahar ye jaana ki jage hain hum magar
sota raha hamara muqaddar tamam raat

sincha hai aansuon se bahut nakhl-e-arzu
lekin samar na aa saka 'jauhar' tamam raat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close