aaya to dil-e-wahshi dar-band-e-niyaz aaya bargashta muqaddar tha sar-gashta-e-naz aaya ek harf-e-shikayat par kyun ruth ke jate ho jaane do gae shikwe aa jao main baz aaya nau-warid-e-hasti uth kis wahm mein baitha hai hoti hai azan sun le chal waqt-e-namaz aaya bardashta-khatir tha ishrat ki haqiqat se main dam-e-musibat mein aasuda-e-raaz aaya rahat-gah-e-turbat se tu ne to bahut roka marmar ke magar main bhi ai umr-e-daraaz aaya bhula hua phirta hai dil apni haqiqat ko le ai gham-e-hasti le ek mahw-e-majaz aaya kal hayya-ala ki si aawaz ek aai thi 'natiq' ne kaha sun kar han banda-nawaz aaya