ai musawwir surat-e-dil-gir khinch le hamara rang bhar taswir khinch gharq-e-saghar kar khumar-e-zindagi ta-khat-e-baada khat-e-taqdir khinch le chali hai mujh ko sahra ki kashish chaara-gar le ab meri zanjir khinch khinchta hun daman-e-dilbar ko main ai dua tu daman-e-tasir khinch hai ye 'natiq' jalwa-e-husn-e-sukhan sher jab likkhe to ek taswir khinch