aazar-e-dil se rang-e-tabiat badal gaya

aazar-e-dil se rang-e-tabiat badal gaya
aakhir dimagh fikr-e-musalsal se chal gaya

jalwa hazar pardon mein chhupta nahin kabhi
tab-e-rukh-e-nigar se ghunghat hi jal gaya

dawa karunga dawar-e-mahshar ke samne
duniya se meri teri kashakash ka hal gaya

afkar tere husn ki jadugari sanam
har sher teri zulf ki khushbu mein dhal gaya

kal zindagi se apni kuchh aise khafa tha main
tum ne ye samjha sine se arman nikal gaya

aawargi le jae hai jaane kahan kahan
nikla main sahra se junhi su-e-jabal gaya

uthta hai dard pahlu mein goya nahin hai dil
jadu kisi ki shokh nigahon ka chal gaya

hain bul-hawas hazaron koi ahl-e-dil nahin
ab rasm-e-ashiqi se bhi husn-e-amal gaya

daim shab-e-firaq mein shoale se ishq ke
misl-e-charagh dagh-e-dil-e-khasta jal gaya

kya us ke ji mein aai ki muddat ke baad yar
khulne laga tha hum se wa-lekin sambhal gaya

aashuftagi se mere dil-e-na-tawan ka haal
bigda khudaya aisa mera dam nikal gaya

fariyaad-e-shoala-bar ne kya kya ghazab kiye
jawen kahan 'jalali' chaman sara jal gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close