aazurda nigahon pe ye manzar nahin utra

aazurda nigahon pe ye manzar nahin utra
sahra-e-tasawwur mein koi ghar nahin utra

jab mil gaya irfan-e-nazar mujh ko khuda se
phir kyun mere ehsas se mahshar nahin utra

dekha nahin jis ne mere tufan ko sukun mein
wo shakhs meri ruh ke andar nahin utra

zalim to bahut hain magar ab un ko mitane
phir koi ababil ka lashkar nahin utra

is masnad-e-khaki pe main baitha hun jahan par
koi bhi mahal-saz barabar nahin utra

tanhai jahan bhi mili aadab kiya hai
haq-talfi pe us ki mera paikar nahin utra

samjhaute bulate rahe de kar mujhe gauhar
iman ke ziyan mein magar 'azhar' nahin utra


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close