bas ranj ki hai dastan unwan hazaron

bas ranj ki hai dastan unwan hazaron
jine ke liye mar gae insan hazaron

wo jis ne meri ruh ko dard-ashna rakkha
hain mujh pe usi zakhm ke ehsan hazaron

jis khak se kahte ho wafa hum nahin karte
soe hain usi khak mein sultan hazaron

ek rasm-e-takabbur hai so is daur ke insan
jebon mein liye phirte hain pahchan hazaron

lazim hai masafat mein bhatak jaana hamara
hum tanha musafir ke hain saman hazaron

ab hai faqat andesha-e-haalat mayassar
hum dil mein kabhi rakhte the arman hazaron

ye shahr-e-sukhan hai yahan har mod pe 'azhar'
hoshiyar bane baithe hain nadan hazaron


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close