ab dam-ba-khud hain nabz ki raftar dekh kar tum hans rahe ho haalat-e-bimar dekh kar sauda wo kya karega kharidar dekh kar ghabra gaya jo garmi-e-bazar dekh kar allah tere hath hai ab aabru-e-shauq dam ghut raha hai waqt ki raftar dekh kar deta kahan hai waqt pade par koi bhi sath hum ko musibaton mein giraftar dekh kar aate hain mai-kade ki taraf se janab-e-shaikh sargoshiyan hain laghzish-e-raftar dekh kar ghairon ne ghair jaan ke hum ko utha diya baithe jahan bhi saya-e-diwar dekh kar aate hain bazm-e-yaran mein pahchan hi gaya mai-khwar ki nigah ko mai-khwar dekh kar is madh-bhari nigah ki allah-re kashish sau bar dekhna pada ek bar dekh kar tum rahnuma-e-waqt sahi phir bhi chand gam chalna padega waqt ki raftar dekh kar waqt-e-sahar guzar gai kya kiya na puchhiye gardan mein un ki sukhe hue haar dekh kar talchhat mila ke deta hai rindon ko saqiya saghar patak na de koi hoshyar dekh kar 'bismil' ko kya hai chadar-e-rahmat rasul ki saye mein le hi legi gunahgar dekh kar