haqir KHak ke zarre the aasman hue

haqir khak ke zarre the aasman hue
wo log jo dar-e-jaanan ke pasban hue

shuda-shuda wahi gulshan ke hukmaran hue
jo khar pi ke gulon ka lahu jawan hue

hum aise ahl-e-junun par hanse na kyun duniya
ki sar kata ke samajhte hain kaamran hue

ye kam nahin ki bujhai hai pyas kanton ki
bala se rah-e-wafa mein lahuluhan hue

gulon ne aabla-pai ki koi dad na di
chaman mein khar hi chhaalon ke mezban hue

kiya jo bhul ke dil ne khayal-e-tark-e-wafa
hum apne aap se kya kya na bad-guman hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close