ab dard be-dayar hai aur jag-hansai hai is ishq ne bhi kaisi jawan maut pai hai baadal hain dal ke dal koi rauzan kahin nahin ab chhawni ghamon ne falak par bhi chhai hai rukhsat ke baad tere sarape se mawara ye kaun si ada hai jo ab yaad aai hai aai jo sar pe dhup lage khema-e-khayal tum ho jabhi to waqt ko yun nind aai hai chup ho gaya hai dil sa fasana-nigar bhi tanhai ek rahi thi so wo bhi parai hai kya ab kabhi junun ka bulawa na aaega sahra ki khak ud ke khayaban mein aai hai jo guzre gham ko khud mein samoe rahenge hum hum ne 'zahir' jine ki saugand khai hai